Aey Kash !!!
Aey Kash Mera Wajood In Parindo Ki Manend Hota.
Hawa Me Apny Paar Lehrye Azadi Sy Ghumta Pherta.
Na Koi Dekhny Aur Na Koi Dekhany Wala Hota.
Bus Me Hota Aur Mera Khuda Hota.
Na Koi Dil Lagany Aur Na Koi Dil Dukhany Wala Hota.
Aey Kash Mera Wajood In Parindo Ki Manend Hota.
Azadi Sy Jab Jahan Chahta Chalta Pherta.
Na Koi Sunn’ny Aur Na Koi Sunanany Wala Hota.
Bus Me Hota Aur Mera Khuda Hota.
Na Koi Sawal Na Koi Jawab Hota.
Aey Kash Mera Wajood In Parindo Ki Manend Hota.
Har Gham Sy Azad Har Dukh O Fikar Sy Bey-Qaid Hota.
No Koi Ghamsar Na Koi Ghamkhuwr Hota.
Bus Me Hota Aur Mera Khuda Hota.
Apny Dukh Sirf Apny Rab Ko Sunaata.
Aey Kash Mera Wajood In Parindo Ki Manend Hota.
Jab Me Botla To Sirf Mera Khuda Sunta.
Jab Wo Bolta To Sirf Mera Dil Sunta.
Mery Aur Mery Rab K Darmiyan Na Duniya Aur Na Duniya Ka Banda Hota.
Bus Me Hota Aur Mera Khuda Hota.
Sirf Me Hota Aur Mera Khuda Hota.
Regards: Uzma Nasir Artsit
No comments:
Post a Comment