Mein Aksar Sochti Hoon,
Phr sochty sochty ruk jati hoon,
Or phr ek soch me par jati hoon.
Meri soch me zaida kuch nhi hota...
Meri soch me paisa ya mehel nhi hota,
Na koi khuwab hota ha,
Na koi tabeer hoti ha,
Na koi hamsafar hota ha,
Na koi dastan hoti ha.
Meri soch me zaida kuch nhi hota....
Meri soch mein dunya ya dunya ka banda nhi hota,
No koi khandan hota ha,
Na koi zaat hoti ha,
Na koi ghar hota ha,
Na koi khushi hoti ha.
Meri soch me zaida kuch nhi hota...
Meri soch me mazzi ya mustakbil nhi hota,
Na koi bachpan hota ha,
Na koi jawani hoti ha,
Na koi sahara hota ha,
Na koi bechargi hoti ha,
Meri soch me zaida kuch nhi hota...
Bus ek andheri rat ya thori verani hoti ha,
Dil nhi hota rooh hoti ha,
Jawab nhi hota sawaloon ki bohchar hoti ha.
Bus ek jism hota ha sath uski kahani hoti ha,
Gharoor nhi hota ajiz hoti
Khani mein naikiyan kam, buriyan bhari hoti ha.
Meri soch me zaida kuch nhi hota...
Bus jawani ka nasha ya burhapy ki bashemani hoti ha,
Sadqa nhi hota na haq rawani hoti ha,
Halal nhi milta, haram ki faremani hoti ha.
Meri soch mein zaida kuch nhi hota...
Bus ek insan hota ya uski kahani hoti ha
Waqt nhi hota, yadehani hoti ha
Bus qabar hoti ha ya qabirstan ki verani hoti ha,
Bandy ki pukar aur Allah k karaam ki nishani hoti ha
Meri soch me zaida kuch nhi hota...
Bus Ek insan aur uski kahani hoti ha,
Bus Ek Allah aur Rehmat Ki barish Hoti ha.
Regards: Uzma Nasir Artist
Writer: Uzma Nasir Artist
2 comments:
Awesome 🙌🙌
thank you
Post a Comment